DARSE JAMIUT TIRMIZI,DAY :888-HADEES NO :2836

Hazrat Abu Hurairah Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Muslim wo hai,jiski Zuban aur Haath se Doosre Musalman Mahfooz rahe,Aur Momin wo hai,jis se Doosre Momin Bhai Apni Jaan Aur Maal me Aman me Rahe.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No :2836),

Dare : Muslam ki Tareef (Definition) hi ye hai,ke wo Apni Zuban aur Haath se kisi Doosre Musalman ko Takleef Na de,Chahe wo Takleef Badi ho ke Choti,Musalman doosre Musalman ko Dekh kar khush hojaye Na ke aysa ke Usko dekh kar uske Bure Akhlaaq se Door hojaye..!

● Hadees me Sab se Pahle Zuban ka Zikr aya phir Haath ka ?

Uski wajah ye ke Haath se Ziyadah Zuban ki takleef Badi Sakht hoti hai,Aur wo Haath ke Ba nisbat Ziyadah taqatwar bhi hoti hai,kyu ke Haath se to usi ko Takleef de sakte hai,Jo saamne rahta hai,lekin Zuban se Saamne aur Peeche,Qareeb wa Door sabko Takleef Aasani se de sakte hai,isliye Zuban ko pahle laya gaya,taake uski takleef ko ziyadah wazeh karsake aur uske Noqsan se Bach sake..Allahu Akber Kabeera.

Allah hame Pakka wa Sacha Musalman banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR,TELANGANA).

You might also like