DARSE JAMIUT TIRMIZI,DAY :889-HADEES NO :2838

Hazrat Sayyiduna Abdullah ibne Mas’ood Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Islam Ghareebi ki Halat me Shuru huva hai,aur wo Anqareeb Ghareebi ki Halat me hi Lout jayega to Ghareebo keliye Khushkhabri hai.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No:2838),

Dars : Islam ki Jab shuruvat huvi to us waqt Shuru me Musalmano ke Paas Na Maal tha aur Na hi Doulat lekin Kamil Eiman Aur Sacha Yaqeen aur Rasoolullah sallallahualihiwasallam se Sachi Mohabbat wa Aqeedat thi jiski Badaulat Deen e islam Saare Aalam me Pahoncha aur Uska Bola Bala huva aur insha Allah hota rahega,Phir Jab Qiyamat Qareeb hogi to Musalmano ki pahle Wali Halat hogi aur Aksar Ghurbat me Rahenge to us Halat me Pareshan Na hone keliye Hamare Aaq e Do Jaha sallallahualihiwasallam ne Rahat wala Nuskha ye Inayat farmaya ke Ghareebi Aib Nahi hai,Balke wo Apne Rabb se Qareeb karne ki Halat hai,lehaza Pareshan Na hona us Halat me Sabr wo Shukr Baja laye to insha Allah Aakhirat me Bohat Barkate Naseeb me milengi.

Allah hame Har Haal me Sabr wo Shukr Baja Lane wala Banaye..Ameen YA Rabbi.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR,TELANGANA).

You might also like