DARSE JAMIUT TIRMIZI,DAYS :893-HADEES NO :2844

Hazrat Sayyiduna Zaid Bin Arqam Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: JAB Aadmi kisi se koi Wada kare aur uski Puri Niyyat hai,ke wo us wadeh ko pura kare Lekin wo usko pura Na bhi Karsaka to us per koi Gunah Nahi.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No :2844),

Dars :Deen e islam Apne Usool wa Qawaneen me Mazboot wa Mustahkam deen hai,Usme Aasani bhi hai,Aur fitrate insaani keliye Sahoolat bhi,to isliye farmaya ke Jab wadah kare to usko pura karne ki Niyyat Dil me Rahe lekin kuch aysa waqt ya lamhe agaye ke majboori me us wadeh ko pura Na karsake to aysi Soorat me Allah uski Saaf Niyyat ke Badleh usko Ajr ata karega aur usko us wadeh ko pura Na karne ki wajah se gunah bhi na diya jayega balke usko Maaf kardiya jayega kyu ke uski Niyyat saaf thi,

○● Agar koi Wadah karta huve ya wadah karke Dil me usko pura Na karne ki Niyyat kiya ho to aysi soorat me usko Uski Buri Niyyat ki wajah se Gunah bhi milega aur uske Eiman me Kami wa Noqs bhi ajayega lehaza Har Kaam me Niyyat ka Bada dakhal hota hai,jitni Niyyat saaf hogi kaam bhi utna Aasan aur Mukammal hoga.

Allah hame Wadah Nibhane wala Banaye..Ameen YA Rabbi..

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR,TELANGANA).

You might also like