DARSE JAMIUT TIRMIZI,DAYS :894-HADEES NO :2845

Hazrat Sayyiduna Abdullah Ibne Mas’ood Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha:RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Ek Musalman KA Apne Doosre Musalman Bhai ko Qatl (Killing) karna “KUFR” hai,Aur Usko Gaali Dena “FISQ” (Kabeerah Gunah) hai.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No :2845),

Dars : Ek Musalman KI izzat aur uski Jaan Allah ke Paas Kabeh se bhi Badh kar hai,Isiliye Musalman ke Har Amal ki Allah ke Paas Azmat wa Fazilat hai,Isliye Allah ne Apne Bando ko Apne Badani Aaza(Parts of Body) ki sahi Jagah istemal karne ki taleem di hai,Zahiri Aaza jaise Haath aur Pair waghira Aur Batini Aaza jaise Zuban aur Dil in Dono Aaza me Haath ka istemal kisi ko Qatl karne aur Zuban ka istemal kisi ko Bura aur Gaali dene me istemal kiya jata hai,Jab Allah in sab Cheezo se Mana farmaya aur unke Aamal ka Azab bhi Bada sakht hai,

○● Dunya ki Fana hone wali Cheezo ke Badleh Aajkal Logo ek Doosre ko Qatl kardete jaise to Ayse Log Dunya me bhi Zaleel hote hain,Aur Akhirat me bhi unko Zillat milti hai,Jab Hadees me Qatl karne KO KUFR kaha gaya hai,Yani Qatil Jab Qatl kare aur wo Hadde sharee aur taubah ke Baghir hi Marjaye to Halate Kufr me Dunya se chala Jane ke Barabar hai…!!!

To hame Chahiye ke Dunyavi Moamalaat ko Sabr wo tahammul se niptaye aur Quran wa Hadees ka sahara le Ayse Ghair Sharee kaamo se Bachna Aasan hoga.

Allah Hame Qatl wo Fusooq se Mahfooz rakhe..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR,T.S).

 

You might also like