DARSE JAMIUT TIRMIZI,DAYS:895-HADEES NO :2847

Hazrat Sayyiduna Sabit Bin Zahhak Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Bandeh per wo Nazar(Mannat) Wajib Nahi jiska Wo Malik Na ho,Momin per Lanat Bhejne wala usko Qatl karne wale ke Barabar hai,Aur Jo kisi Momin per Kufr ki Tohmat lagaye to wo usko Qatl karne ke Barabar hai,Aur Jo Shak Apne Aapko Kisi cheez se Maar de (suicide karle) to Qiyamat ke Din Allah usko Usi Cheez se Saza dega.

(Jamiut Tirmizi,Vol 2,Hadees No: 2847),

DARS : Hadees e Paak ek Momin ka Doosre Momin ke Saath ittehad aur ittefaq se rahn ki taraf taleem di ja rahi hai,ke Ek Momin Doosre Momin ko uske Baaz Na munasib kaam per Lanat WA Bud Dua Na de Balke Sabr kare aur usko uske Us Kaam per Sahi Mashorah wa Naseehat kare,Aur kis Momin ko uske Amal ko Dekh kar Usko Kafir Na kahe Balke usko HO sake to Naseehat kare aur wo Waqayi koi Ghair Sharee Amal karne lage to uski taraf Muftiyan e Kiram ko Aagah karaye aur uske Moamleh ko unki taraf supurd karde isme Sabki Bhalayi hai,

♤♤ Deen e islam me Ek Momin wa insaan ki Jaan ki Badi Ahmiyyat wa Fazeelat hai,aur wo Jaan Allah ki Amanat hai,to usko wo Ayse Hi Khud khushi karne ki hergiz ijazat Nahi hai,kyu ke usko us Amal ka Akhirat me jawab dena hai,aur ayse Amal se Bachne keliye hi Deene islam ne Khudkushi(Sucide) ko Haram Qarar diya hai.

Allah hame in Tamam Ghair islami Aamal se mahfooz rakhe..Ameen

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR,TELANGANA).

 

 

 

 

You might also like