DARSE JAMIUT TIRMIZI,DAYS:896-HADEES NO :2849

Hazrat Sayyiduna Ubadah Bin Sabit Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha:  Maine Rasoolullah ﷺ se Suna hai,aapne Farmaya: JO Kalimah

لا اله الا الله محمد رسول الله(صلى الله  عليه وسلم)

KI gawahi deta hai,to Us per Jahannam ko Haram kardeta hai.

   (Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No :2849),

Dars : Mohaddiseen e Kiram ne farmaya ke ye Hadees e shareef Namaz,Rozah aur Doosre Arkaam wa Faratyiz ke Farz hone ki Pahle ki Hadees Hai,lehaza jab Islami Ahkaam wa Wajibaat jab Lazim hogaye to uske Baad Kalimah ke padhne aur Gawahi ke Baad Islami Ahkaam ko Ada karna farz hai,Jab ke Har Ek Farz wa Wajib ki Azmat wa fazeelat Apni jagah musallam hai,isliye Bandeh jab unko Ada karts hai,to wo Allah ke Qiyamat me Ata kiye Jane wake in’amaat se Nawaza jata hai,

■□ Baaz Ulama e Kiram ne ye bhi Farmaya hai,ke Hadees e Paak me Kalimah tauheed ki Fazeelat ka Bataya ja raha hai,lehaza Jo Bandah Jis Aqeedat wa Yaqeen se Kalimah padhta hai,aur Us kalimeh ki Gawahi ko Saari Zindagi bhar Nibhata hai,To Allah us per Jahannam ko Haram karta hai,aur usko Jannat me Dakhil kardeta hai.

Allah hame Sachie Dil se Kalimah padh kar us per Amal ki Taufeeq Ata kare..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATHULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT ,TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR,TELANGANA).

 

You might also like