DARSE JAMIUT TIRMIZI,DAYS:895-HADEES NO :2848

Hazrat Sayyiduna Ibne Umer Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: JO koi Apne Bhai ko “KAFIR” kaha,to Un dono me Se koi us Hukm ko lekar lautega.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No:2848),

Dars: JAB koi Musalman Doosre Musalman me kisi Gunah ko dekhe to uski wajah se usko Kafir Na kahe Balke us Baat ko Allah per Chod de ya usko Taubah ki Talqeen kare to Fasad se Sab Mahfooz rahenge,Jabke koi Bhi Gunah Taubah sw Maaf hojayega,

Haan,Baaz Log Waqayi Ghair Sharee ayse Kaam karte ho Jo Bandeh ko Kufr tak Lejate ho to aysi Soorat me usko Ulama e kiram se ruju karvaye to munasib hoga,

■□ DARGAH pe Hazir keliye jaye to Bhi aaj Kal Baaz Batil Jamate Jo apne Aapko Hadees ya Sunnat pe Chalne ka dawa karte hai,aur Aqèedatmand Sunniuo ko BID’ATI YA MUSHRIK” kah kar un per Kufr ka Fatwa dete hai,Jo Yaqeenan Ghalat aur Gumrahi wa Deen se Mazaq karna hai,jabke Qabro aur Qabrastan ki ziyarat karna Kayi Hadeeso se sabit hai,lekin Batil Jamate samajhti hi Nahi,Allah unko hidayat de..!!

●○ Agar wo Bandah Yaqeenan Dairahe kufr tak pahoncha ho aur ye usko Baaz kalimeh kah diya ho to Kahne wale per wabal Nahi,aur Agar Wo Aysa Nahi tha phir Bhi wo usko Baaz kufriya Kalimaat kaha ho to ab uska Gunah kahne wale per hoga,lehaza Musalmano ko chahiye ke Doosre musalmano ko ayse kalimaat Na kahe Jo usko Islam se hi Nikal dete ho.

Allah hame Aysi Zuban darazi se mahfooz rakhe..Ameen

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY :-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR,TELANGANA).

 

A

You might also like