DARSE JAMIUT TIRMIZI,DAYS:900-HADEES NO :2854

Hazrat Sayyiduna  Abdullah Bin Amr Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha,Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Allah Taala ne Saari Makhlooq Andhere Mahol me Paida kiya Phir us per Apne Noor ko Dala,to wo Noor Jisko pahoncha to wo Hidayat papaya aur jisko Nahi pahoncha to wo Gumrah hogaya,isi liye Mai kahta hoon ke Qalam sookh chuka hai(taqdeer likh di gayi hai) ye sab Allah ke ilm me hai.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No :2854)

Dars : Bandeh ka Momin hona ya Ghair Muslim hona ye uski taqdeer ki BI per hota hai,Jo Allah ne Muqaddar ki hai,to Bandeh ka Kaam Amal karna hai,kyu ke Allah ne insaan ko Aqal jaisi Azeem nemat ata ki hai,usko Har Achayu wa Burai ka farq Bata diya gaya hai,Haq wa Batil,Hidayat wa Gumrahi etc..Bandah Apni Aqal se Samajh sakta hai,isliye use is dunya me Nek Aaamal karne ki taleem di gayi hai,aur Burayi se Bachne ka Hukm aya hai.

Allah hame Nek Aamal ki taufeeq ata kare..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR,TELANGANA).

You might also like