DARSE JAMIUT TIRMIZI,DAYS:901-HADEES NO : 2855

Hazrat Sayyiduna Moaz Bin Jabal Raziallahuanhu se rivayat hai,kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Kiya Tumhe Pata hai ? Allah ka Haq Bando per kiya hai ? Apne Kaha Allah aur Uske Rasool ﷺ ziyadah Jaante hain, to Apne Farmaya Allah ka Haq Bando per ye hai,ke Wo Allah ki Hi ibadat kare aur Wo Uske Saath Kisi ko Shareek Na kare,

Phir Aap sallallahualihiwasallam ne farmaya Kiya apko Maloom ke Jab ye Bandeh karle to Allah per unka Kiya Haq hai? Aapne kaha : Allah aur Uske Rasool ziyadah jaante hai,

To apne farmya : JAB Bandeh ye karle to phir Allah unko Azab Nahi deta hai.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No :2855),

DARS : Hadees e Paak Allah ka Bando per aur Bando ka Allah per Huqooq ke Bare me Bataya gaya ke Sirf  Allah ki ibadat kare aur uske Saath kisi ko shareek Na kare yani Kisi Doosri Makhlooq ko Allah ya Mabood Na kahe aur Sirf Allah ko Maane uski ibadat kare to wo Shirk Nahi hoga,

Baaz log Allah ke Rasool sallallahualihiwasallam aur Doosre Buzrugo ke waseeleh Banane ko Shirk kahtr hai,Jo Bilkul Ghalat aur Batil Aqeedah hai,kyu ke islam me waseeleh ki ijazat hai,aur waseelah Bana kar dua wahi log karte hai,Jo Apne Aamal pe Nahi balke Rabb ke Fazal per Yaqeen rakhte hai, aysa karna Na Shirk hai,aur Na hi Bid’at hai,

●○ Jab Bandeh Allah ke Haqooq pura karte hai,to Phir Allah unko Apni Rahmat me rakhta hai,aur unko Azab se mahfoo rakhta hai,aur Jannati Banata hai.

Allah hame Saare Huqooq ko pura karne wala banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

You might also like