DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : HAJJ, DAY :177,

Hazrat Abdullah Ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Majlis me Ek Shaks Khada hokar Sawal karne laga Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Hajj ke Dauran Kin Kapdo ke pahen ne ki ijazat hai ?

To Aap ne Farmaya : Hajj ke Dauran Kurta,Pa Jamah,Topi,Amamah aur Sile huve Jote Na pahno,Magar Baghair sile huve pahen sakte hai,
Aur Za’fraan aur Khushboo se mala(lagaya) huva kapda Na pahno,aur Awrat Azmayish me Dalne wali Cheezo ka istemal Na kare,aur Haatho me Dastaneh Na pahne.
(Vol/1,H,No :842),
Dars : Momino..Umrah me bhi yahi hukm hai,aur ye saari cheezo ka Hukm isliye diya gaya hai,ke Bandah Chahe kitna bhi Maal dar kyu na ho,magar yaha per usko Ghareebi ka ehsaas ho,
■■ Aajizi wa Inkisaari ki taleem di jaye,
●●Ghareebo ko Haqeer Nigaho se Na dekhe,
☆☆ Sadqah wa Madad ka Jazbah badhe,
○○ Apas me Barabari ki Taleem
Aur kayi Baate is Azeem ibadat aur uske Sharaayit me Payi jati hai,
Note : Jin Cheezo se roka gaya hai,agar usko kiye to Dum(ek janwar ki qurbani dena) dena lazim ayega,aur Baaz kaamo se Fidyah,
Sabko Behter Andaz me Hajj wa Umrah Naseeb farmaye..Ameen.

You might also like