DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER :SALAH,(EID), Day :150,

 

Harat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) Eid ul Fitr me Raunaq Afroz huve,aur 2 Rakaat Eid ul fitr ki Namaz ada farmayi,us se Pahle koi Namaz padhe aur Na hi uske Baad Namaz padhe.
(Vol/1,H,No:540),
Dars :Tamam Momino per Eidain Eid ul Firtr aur Eid ul Azha ki Namaz 2 Rakaat”WAJIB” hai,Un 2 Rakaat se pahle aur Baad me koi Namaz Nahi hai,Yani uske saath Sunnate aur Nafil Namaze Nahi hai.
●● Baaz log ye Samajhte hain,ke Eid ke Din ki Fajar Nahi padhe to Eid ki Namaz Nahi hoti ? !
Jawab:Aysa kuch bhi Nahi hai,Fajar ki Namaz aur eid ki Namaz Dono ka Hukm Alag alag hai,haan:Fajar ki Namaz har din padhna hai,sirf Eid ke din hi Nahi…
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like