DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER : HAJJ, DAY :171,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihwasallam) ne farmaya : Jo Hajj kare aur Hajj ke Dauran Buri Baat aur Bure Kaam se Mahfooz rahe to Allah us Bandeh ke Pichle Saare Gunah Maaf kardeta hai.
(Vol/1,H,No :816),
Darse :Ek Saheb se mulaqat huvi ,Maine poocha Hazrat Allah aapko Har Cheez Nawaza hai,Aap per Hajj Farz hochuka hai ?
Kahne Lage :Mufti Saheb…Ek Beti hai Jiski Shadi Abhi huvi hai,agle saal..Jab wo saal agaya To Phir Wahi sawal ..? To Jawab aya Hazrat Ab Ladke ki Shadi hai …Phir…kahne lage Nahi Nawasa Abhi Chota hai !!phir…Kahne lage Retirement ke Baad…Ab her aar Kuch Na Kuch aakhir Kaar…Hajj Ko Chale Hi Gaye aur Aysi Umer me Gaye ke Khud ko Sambhalna Mushkil…Tabiat me Chid Chida Pan waha jakar Har ek se Ladne lage aur Buri Baate….Kyu ke Us Umr (age) me Control khatam hojata hai,aur kayi Arkaan e Hajj Choot bhi jate hai,jis se Baaz Gunah bhi sarzad hojate hai,
To Islami Bhayiyo aur Bahno : jab Allah Dawlat se Nawaza hai,us waqt Hajj farz Hojata hai,to sahi umer(age) me hi Hajj karlena Behter hai,ab rahi ye Zimmahdariya ye to Marte Dum tak rahte hi hain.

You might also like