DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : HAJJ, DAY :179,

Hazrat Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se se sawal kiya gaya ke jab Kabatullah per Nazar padhe to kiya Haath utha sakte hai ? to aapne jawab diya ke Hum ne
Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ke saath Hajj ki sa’adat hasil kiye magar Hum ne aysa nahi kiya.
(Vol/1,H,No :865),
Dars :Hazrat imam e Tirmiz Abu Eisa(rahmatullahialih) ne kaha : Hazrat Shobah(raziyallahunahu) se marvi hai,ke Kabatullah per Nazar padhne ke baad Haath uthane ki ijazat hai,
gharz ke Dosto ye Haath uthana aur Na uthan to Mustahab wa ghair mustahab baat hai,
Haqeeqat to ye hai,ke Jab Kabeh pe pahli Nazar padhti hai,to Bandeh ke saare Murado aur Tamannawo ka toofan dua ki shakal me aakr taher jata hai,to wo BE BAS WA MAJBOOR BANDAH is Noorani Manzar ko dekhe kar BESAKHTA Dil ki Zuban se dua mangne lagta hai,ab usko Kabatullah per jo tajalliyat nazil hoti rahti hai,usme khojata hai,use khayal bhi nahi rahta ke Haath uthe hai,ke Nahi,kyu ke uska Dil Pahle se hi Jhuka huva hota hai,……
jaisa ke shayer ne kiya khoob kaha hai,ke,,


KABE PE PADHI JAB PAHLI NAZAR
KIYA CHEEZ HAI,EIMAN BHOOL GAYA….!!!

You might also like