DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ, DAY :182,

Hazrat Kaseer Bin Jumhan(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Main Hazrat Ibne Umer(raziyalkahuanhu) ke saath Saee SAFA MARWAH kar raha tha,aur mai Budhape ki Umer me tha,aur wo Mutawassit Umer me(Medium age),Jab Mai Daudta(Saee) to Wo bhi Daudte,aur Jab Mai Chalta to wo bhi Chalte,Maine Sawal kiya aapka ye Amal ?

To Hazrat Abdullah Ibne Umer(raziyallahuanhu) ne Kaha,Maine SAFA AUR MARWAH per Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ko Chalte aur Saee(Daudte) Huve dekha hai.
(Vol/1,H,No:874),
Dars : Saee Safa Marwah Ka Matlab sirf daudna hi Nahi hai,Balke Safa se Shuruwaat(Begining) kare Talbiyah aur Zikr ko jari rakhe,Darmiyan me jaha Aaj kal Sabz Rang(Green Colour) ki lights lagayi gayi hai,Waha Saee(Daude) kare,jaise hi wo Sabz rang ki light ka Hissah poora hojaye to Phir se Ahistah Chale,Jab Marwah per Pahonche to ruk kar Dua karle,Phir Chale,aage Phir se Sabz Rang ki Lights ka Hissah ayega to wo poora Hissah Saee kare ,Phir Ahistah Chale Is tarah 7 Chakkar lagaye,
Yaad rahe…Safa se Marwah tak 1 Chakkar Shumar(Count) hoga,Phir Marwah se Safa Tak 2 Chakkar Count honge,Nake Safa se lekar marwah tak ek…Balke Safa ka 1 Marwah ka 1 Yani 2 Count honge,,
●● Saee Safa wa Marwah Wajib hai,iske Chootne se Dum Wajib hota hai,
(Al Hidayah,Vol/2,Pg/187),
■■ Safa se hi Shuru kare,Agar koi Ghalati se Safa ke Bajaye Marwah se Chakkar lagana shuru kare,phir Malum hojaye ke ye Safa Nahi Marwah hai ?! To ab Shuru (Newly) se Safa se Chakkar lagaye to koi Dum wajib Nahi hoga,saath me Taubah kare.
☆☆ Maafi ke saath Saee me Zikr wo Azkar kare Na ke Selfie lete jaye kyu ke us se Saee Safa wa Marwah ki Rohaaniyat Apne Dil me Nahi Utarti hai,aur Khushoo bhi Baaqi Nahi rahta hai.

You might also like