DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER :HAJJ, DAY :184,

Hazrat Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,

Nabi e Akram(Sallallahualihiwasallam) ne Jab Tawaf Mukammal farmaliya To Maqam e Ibrahim ke Paas 2 Rakaat Nafil Ada farmaye,aur Us Namaz me Pahli Rakat me Surah KAFIROON(Qul Ya Ayyuahal Kafiroon…) Aur Doosri Rakat me Surah IKHLAS(Qul Huvallahu Ahad….) Qirat famaye.
(Vol/,H,No :878),
Dars :To Malum Huva ke Tawaf ke Baad ki 2 Nafil Namaz me ye 2 Surah padhna “SUNNAT” se Sabit hai,
Wazeh rahe ke,Sunnat se Jo Sureh Namazo me padhne ki taraf Rahnumayi hoti hai,uski ek Khaas Barkat hoti hai,usper Hum Chale to Bohat Faidah hoga,
Haan,Agar kisi ko Wo Sureh Nahi aate ho to Unhe jo sureh yaad hai,wahi sureh padhle to Bhi Namaz Hojati hai,aur us Namaz ka Insha Allah Poora Sawab milega,

You might also like