DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER : HAJJ, DAY :189,

Hazrat Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hum Nabi e Akram (sallallahualihiwasallam) ke saath Hudaibiyyah ke Saal “Gay(Cow) me 7 Hisseh,aur Wunt(camel) me 7 Hisseh” se Shamil hokar Qurbani anjam diye.
(Vol/1,H,No :914),
Dars : To is Hadees e paak se malum huva ke Gay(cow) me aur Wunt(camel) me 7 Hisso ke Hisab se Qurbani ada karsakte hai,
Gaye ki age Kam se kam 2 Saal aur Wunt ki 5 Saal,aur chote(Bakra,Menda,Bhed) Janwar ki 1 Saal hona hai,agar Menda 6 Maah(6 months) ka bhi ho magar dikhne me 1 saal ka dikhta ho to us se bhi Qurbani Jayiz hai,
●● Baaz log 1 Bakrah me Saare Ghar walo ko Shamil karlete hai,magar ye Jumhoor Ulama wa Fuqaha e Kiram ke Mazhab ke Khilaf hai,
■■ Baaz log 1 Saal ke Murghe se Ya Ande(egg) se Qurbani ko kahte hai ¿¿!!
Ye To Quran wa Hadees ke Bilkul Khilaf hai,aur Aysi Baate Karne se Islami Ahkamaat wa Taleemaat ka Mazaq lazim ayega aur is se unko Qiyamat me Dardnaak Saza Zaroor milegi,
Allah hum Sab ko Nek Taufeeq ata kare,,Ameen.

You might also like