DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH , DAY :201,

Hazrat Abu Saeed Khudri(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Ke Jibrayeel e Ameen(Alihissalam) mere Paas aye,aur Kaha ke kiya aapki Tabiyat Na saaz Hai(Tabiyat Sahi Na hona) ?
to Aapne Kaha : Haan,
To Jibrayeel e Ameen ne kaha: Jab Tabiyat Na Saaz ho to ye Dua padh lijiyega :

قَالَ بِاسْمِ اللَّهِ أَرْقِيكَ مِنْ كُلِّ شَيْءٍ يُؤْذِيكَ مِنْ شَرِّ كُلِّ نَفْسٍ وَعَيْنِ حَاسِدٍ بِاسْمِ اللَّهِ أَرْقِيكَ وَاللَّهُ يَشْفِيكَ.

(Vol/1,H,No : 988),
Dars : Subhan Allah,Ye bhi kisi Azeem Shafaqqat hai,ke Rabb e Kareem apne Mahboob ki tabiyat ki Na Saazi per bhi Khusoosi dua bhejta hai,to Ye Azmat Nahi hai,to phir aur kiya hai…..
■■ Tabiyat Na saaz ho ,ya Bacho ko Nazar lag jaye to ye Dua 7 Baar padh kar Dum karle ,insha Allah Sehat Theek hojayegi,
●● Ghar me ya Dukan me Keede aane lage to tab bhi ye dua 7 Baar padh kar Paani per dum karke wo paani Ghar ya Makan ke 4 kono me chidak de to insha Allah saare keede Bhag jayenge.

You might also like