DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : JANAZAH, DAY :214,

Hazrat Ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Apne Mayyit ki Khoobiya Bayan Karo,Uski Mayyit Ki Burayi karne se Baaz Ajavo.
(Vol/1,H,No :1035),
Dars :Momino,Bandah Chahe Zindagi kise bhi guzarde magar usko Marne ke Baad uska Hisab zaroor dena hota hai,Aur uska Allah ka Moamlah hota hai,agar Allah chahe to Usko Maaf kardeta hai,ya Nahi to Azab deta hai,aur Azab bhi uska insaaf hota hai,
●● To Dunya me Bando ko bhi chahiye ke uski Burayi karne ke Bajaye uska Moamlah Allah per hi chod de,aur uski Khoobiya Bayan kare kyu ke Hamara Rabb itna Maherban hai,ke Ek Doosri Hadees me aya hai,ke agar 3 Bandeh kisi Mare huve Shaks ke Behter aur Ache Insaan hone ki Gawahi dete hai,to Allah inki Gawahi ki wajah se kahta hai,ke jab ye 3 Bandeh usko Behter insaan kahte hai,to Unki Gawahi ke sabab mai uski Maghfirat farmata hoon,kahkar Allah usko Masf kardeta hai,
To Jab hamari Gawahi kisi ko Faidah deti hai,hame bhi chahiye ke Hum Bhalayi ke Gawah banjaye to behter hai.

You might also like