DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH , DAY : 219,

 

Hazrat Mughirah Bin Sho’bah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Sawari per Jane wala Janazeh ke Aage Na jaye balke Janazeh ke peeche jaye ,aur Paidal chalne wala Janazeh ke aage aur peeche Zaroorat ke lehaz se ja sakta hai,aur Chote Bacho per Namaze Janazah padhi jaye.
(Vol/1,H,No :1048),
Dars : Is hadees me Janazeh ke Aadab ko bataya gaya aur chote Bacho per Namazeh janazah ka hukm bhi bataya gaya hai,ke
Jo Na Baligh(Minor) ho ya Child age me hi kyu na ho us per bhi Namaz e janzah padhi jayegi,aur yaha tak ke Jo bacha ya bachi Paida hokar Kuch hi der me sirf Rokar (tearing) hi inteqal karjaye to us per bhi Namaz e janazah padhi jayegi,aur jo Chote Bache Roye baghir Maa ke pet me hi inteqal hokar paida huve ho to ayse bacho per Namaz e janazah Nahi padhi jayegi..lekin baaz ulama ne in per bhi Namaze janazah padhne ko kahe hai,
Allah sabke Bacho ko Lambi umer Ata kare aur unke walidain ko unke awlaad ki Her Khushi Dekhne ki taufeeq ata kare..Ameen

You might also like