DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH, DAY : 231,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,Jab Koi Janazah Hazir hota to Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) Farmate ke Ye Marne wale Shaks per Koi Qarzah Baaqi hai ? Agar Jawab “Nahi” hota ,to aap Namaz e Janazah ada farmate,aur Agar Jawab”HAAN”(Qarzah Baaqi rahna) milta to Aap farmate :Tumhare Bhai ki Namaz e Janazah Tum hi ada karlo,mai Nahi karunga,

Jab Musalmano ko Jango me Kamiyabiyan mile,aur Maal Mila,to Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) Jis kisi ka Qarz baaqi rahta to Khud uske Qarz ko ada karte,aur Farmate : Mai Momino Keliye Unki Jaano se Bhi Ziyadah Motabar
(Ahem)hoon,Jisne Bhi Apna Qarzah Chod kar gaya hai,to Mai uska Zimmahdar hoon,aur jo Wirasat(Ghar,Maal,etc..) choda ho to Wo Wirasat uske Waris keliye hai.
(Jamiut Tirmizi,Vol/1,H,No :1091),
Dars :to Malum huva Kisi ka Maal lekar Wapas Na karna kitna Bura hai,Ke Jis per Nabi e Kareem(sallallahualihiwasallam) ka Namaz na padhna hi uska Allah aur Rasoolullah ki Rahmat se Door hone ki Alamat hai.. !!!
■■ Qurban jaye Rahmat wale Nabi e Akram (sallallahualihwasallam) per ke Jo Ummat ki Zahmat(Qarz) ko apne Zimmah lete hai,Aur Dawlat Waris ko Poori Amanat ke Saath dete hai,Ye Hai,”Darse Amanat”ham sabhi ko Apnana Zaroori hai,(FIDAKA ABEE WA UMMEE YA RASOOLALLAH),
●● Jo Shaks Qarz Chod kar Inteqal kare to Us per Namaz e Janazh ada karna hai,aur Us qarz ko Uski Wirasat se Poora karna hai, Baad me Wirasat Taqseem karna hai,Kyu ke Wariso ko Pahle Mayyit ka Qarz Mukammal karna Zaroori hai,
■■ Baaz log Doosro ka Maal lekar Jaan booj kar Nahi dete hai,aur Bahane Banate hain,to Ayse Logo keliye Akhirat me Dard Naak Azab hoga,
Jo Doosro ka Maal liye hai,unko Wapas karne ki taufeeq Naseeb ho,Ameen.

You might also like