DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER : NIKAH , DAY : 262,

Hazrat Talq Ibne Ali(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Jab Shohar Apni Bivi ko Apni Zaroorat keliye Bulaye aur agar Bivi(Wife) Tannur (kitchen) ke paas bhi ho to Bivi usi Waqt Shohar ke paas Aajaye.
(Vol/1,H,No :1193),
Dars : Ye Bivi keliye Hukn hai,ke Shohar ki Baat ko sab se pahle Ahammiyyat(Value) de,Baad me sab doosre,
Aaj Baaz Miya Bivi me Aadab wa Akhlaaq khatam hote jarahe hain,ke Bivi Shohar ko Naam lekar Bulati hai,Uski koi Khaami ko Malum karke uski Baato ko NazarAndaz karte rahti hai,jab ke Aqeedah to ye hona chahiye tha ke :Shohar ki Khaami to Khud Bivi ki Hi Khaami samjhi jaye aur Bivi ki khaami to Shohar ki….etc…jiski Wajah se Aaj Miya Bivi me Haqeeqi Mohabbat Nahi payi jarahi hai,Bohat KhushQismat hote hain,Wo log Jinhe Shadishudah zindagi me Apas ne Haqeeqi Mohabbat wa Shafaqqat aur Saath Naseeb hota ho,
■■ iska matlab ye Nahi ke Bivi ko bila kisi wajah wa sabab ke shohar bulata jaye,Balke Shohar ko bhi Chahiye ke wo Dekhe ke Bivi kis kaam me masroof hai,usko Bulane se kiya koi doosra kaam ruk jata ho aut us se Dono ko Noqsan hota ho to wo Us kaam ke mukammal hone ke baad bulaye is se Apas me ek doosre ki Madad hojati hai,aur Ghar bhi Aabad rahta hai,aur Aapasi ranjishe bhi Nahi hoti hain.

Plz..Share it to All,For more islamic services Visit our web site :anwaarulislam,com.

You might also like