DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHAREED WA FAROKHT , DAY : 277,

Hazrat Abu Zarr Ghifari(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Din Allah 3 logo ki taraf Apni Rahmat ki Nazar Nahi dalega,unko Gunaho se Paak Nahi karega,Aur unkeliye Bada Takleef wala Azab hoga,
1) Ahsaan karke Jatane wala,
2) Apne Kapdo ko zameen per Takabbur se Ghaseet kar chalne wala,
3)Tijarat me apni Cheez ko “JHOOTI QASAM” se Bechne wala,
(Vol/1,H,No : 1255),
Dars :
1)..Ahsaan karna Badi Khidmat hoti hai,aur ye Ahsaan bandeh keliye Dunya Wa Aakhirat me Barkat ka sabab banti hai,
Magar Ahsaan karke Baar baar usko Bayan kare aur Jataye ke”Mai hi uski Madad kiya” Meri wajah se hi wo Aage bada “Mai Paise Qarz me diya to hi Buiseness chalra..etc..etc..ayse kahne se ab uski RAHMAT…2 Jahan me ZAHMAT me badal jayegi,To Ahsaan kare usko Allah jaanta hai,aur wahi Acha Ajr dega,batane ki zaroorat Nahi hai,
2)…Islam Umdah wa Nafees Libas ko pahen ne ki ijazat deta hai,Mana Nahi hai,Magar un kapdo se Bandeh ke dil me Shukar ka Maaddah paida hona chahiye aur Doosro ko Neechi wa Haqeer Nigaho se Nahi dekhna chahiye,
Agar Wahi Umdah Libas se Dil me Takabbur paida hone lage to ab ye kapde bhi Azab ka sabab banjayenge..!!!
3) Tijarat me Sabse Ahem cheez “MAAL WA SAMAN ME BARKAT” hai,aur ye Barkat to Eimandari se aati hai,Jhooti Qasam se saman ko bechne se Dunya me Barkat khatam hoti hai,Kayi Museebato ko lati hai,aur Aakhirat me Dardnaak azab..!!!
Allah hame Nek taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,For more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like