DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : SAID (SHIKAR), DAY : 294,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Jo Shaks Kutte(Dog) ko Paalta hai,ya apne Paas rakhta hai,to Har Din us ke Nekiyo ke me se 1 Qeerat ke Barabar Nekiya Khatam hojati hain,
Haan Agar koi Safar me Hifazat,Kheti ki Hifazat,Bakro ki Hifazat ki Niyyat se rakhe ho to phir uski ijazat hai,us se koi Neki Nahi jati hai.
(Vol/1,H,No :1567),
Dars : yani Jo Shaks sirf apna Shauq poora karne keliye ya dekha dekhi ki wajah se apne paas Kotto(dog) ko paalta hai,to uski Nekiya Har din ek miqdar me khatam hoti rahti hain,
$$ Qeerat : Ye Arab me istemal kiye jane wala Ek Paimanah hai,jis se cheezo ko Tola jata hai,is se murad Nekiyo ka kam hona batlana maqsood hai,
●● Makan ya Saman ki Hifazat ki Niyyat ho to ye ek Zaroorat ki soorat hai,lehaza Zaroorat ke waqt Kutto ko apne paas rakhne ki ijazat hai,Warna Nahi.
■■ Kutto ko Gharo me ya apne paas rakhne se isliye roka gaya hai,ke Jaha kutta hota hai,Waha *RAHMAT KE FARISHTEH NAHI AATE HAIN*

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like