DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : QURBANI, DAY : 296,

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihwasallam) ne Ziyadah Gosht aur Seengh wale 2 Mendo ki Qurbani is tarah diye ke Qurbani se pahle Us janwar ke Pairo per apne Qadam e Mubarak rakh kar Bismillahi wallahuAkbar kahte huve Zubah farmaye.
(Vol/1,H,No : 1573),
Dars : Gosht aur Seengh wale matlab Sahet Mand aur Be Ayb wale Janwar ko Allah ke Raasteh me qurbani dena hai,kyu ke Allah ne Quran me farmaya hai,ke :
Momino;Tum Neki ko us waqt tak Nahi Hasil karsakoge Jab Tak ke tum Apni Pasandeedah Cheez ko Allah ke Raasteh me Kharch Na kardo.
(Al Quran,Vol/4),
■■ Qurbani Ka Matlab Allah se Qareeb karne wala zariyah hai,Qurbani se Bandah Allah ke Qareeb hota hai,jaisake ke Dunya ka Dastur bhi hai,ke Jab Kisi Bade Shaks, Sahib e Saltanat,Ya Wizarat,Ya Sahib e Dawlat wa Sarwat se Qareeb hona ho to Usko Umdah Aur Behtreen Cheez ko Chun chun kar use Tohfah(Gift) me dete hai,ta ke wo Us tofah se khush hojaye aur Humko Apne Qareeb karle…!!!!
Lekin Mere islami Bhayiyo Jab Hum Qurbani ya Sadqah de rahe ho to soncho ke Allah se Qareeb hone keliye hume kitni Umdah se umdah cheez dena hoga…ta ke Ghareebo ki madad per Allah us se raazi hojaye aur hum Gunahgaaro ko Apne Daman e Rahmat me Jagah ata karde…
Allah hume Sacche Dil wa Umdah Maal ki Qurbani dene ki Taufeeq ata kare..Ameen.

Plz…Share it to All,For more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like