DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : LIBAS , DAY : 310,

 

Hazrat Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) Jab Makkah me Dakhil huve to Aap ke Sar Mubarak(Head) per Kala Amamah(Black Amamah) tha.
(Vol/2,H,No :1839),
Dars :Topi ke Uper Amamah Bandhna Sunnat hai,aur Amamah kisi bhi waqt Bandhna Sunnat hai,iske liye koi Khaas waqt muqarrar Nahi hai,koshish yahi karni chahiye ke Har waqt Pahne agar Na hosake to Kam se kam Ibadat ke waqt to pahen lene se Ibadat me khushu Naseeb hota hai,
Is ke alawah Amamah pahne ne se Bohat saari Barkate Naseeb hoti hain,
Amamah ka Colour : Rasool e Akram(sallallahualihiwasllam) ne Safaid Rang(White Colour),Hara Rang(Green Colour),Aur Kala Rang(Black Colour) ka Amamah pahne hai,aur ye 3 Rang ka Amamah pahen na Sunnat hai,
Baaz Tanzeeme Ek hi Rang ka Amamah pahnete hai,to uska Matlab ye Nahi hai,ke Wahi Rang ka Amamah pahen na Sunnat hai,balke ye 3 Rang ka Amamah pahen na Sunnat hai,
■■ Jab Koi Amamah pahne to usko chaiye ke Uske Aadab ka bhi lehaz rakhe,jin me se chand ye hai :
☆ Nigah Neechi Rakhe,
☆ Kasrat se Zikr me rahe,Durood padhte rahe,
☆ Khil khila kar Na Hanse,
☆ Ziyadah Mazaq me lage Na rahe,
☆ Jhagadte Na rahe,etc..etc..
Ye Kaam Amamah na ho to tab bhi karn hai,
●● Chote Bacho ko bhi Deen me targheeb aur Sunnato ki Mohabbat paida hone keliye Amamah pahnana Mustahab hai.
Allah hame Amamah Pahen ne ki taufeeq ata kare…Ameen.

Plz…Share it to All,For more Visit our islamic web site….anwaarulislam,com.

You might also like