DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : PEENE KE AHKAM, DAY : 372,

Hazrat Ayisha Siddiquah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Thanda Meetha Pasand farmate.
(Vol/2,H,No :2016),
Dars : Meetho me kayo qisam ke Meethe yani meethi cheezeh hoti hai,Lekin Aap Sallallahualihiwasallam Thandi Meethi(Cool Sweet) Cheez ko hi ziyadah farmate,to iske Bare me Ulama e Kiram farmate hain,ke :
Thandi Meethi Cheez Khane se Zahen Tezz hota hai,aur wo Doosro meetho ke Ba Nisbat Susti bhi Nahi aati hai,aur Ibadat me Khalal bhi Nahi hota hai,
●● Meetha Mukhtasar hi khana chahiye jab ziyadah khayenge to Lazmi taur per Susti bhi ayegi aur ghunoodgi bhi ayegi Jis se ibadat me bhi khalal hojata hai,
■■ Nikah ya Dawat me Meetha Ek hi Qisam ka Banana ziyadah behter hai,us se Kharcha bhi kam hota hai,aur logo me Charcha bhi kam….!!
Aur Ek Ghareeb ki shadi me Aasani bhi hojayegi ke Mahol wale ek hi Meethe per iktefa karna shuru karenge…kyu ke aaj kal Hamare muslim moshreh me Nikah ya kisi doosri taqareebo me kayi qisam ke meeth banane ka Rivaj nikla hai,jo islam Taleemat ke Bilkul Khilaf hai,is se hame sabko Bachna Chahiye…
Allah hame Israaf wa fuzul kharchi se Mahfooz farmaye..Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site .anwaarulislam,com.

You might also like