DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 393,Hadees No :2049

Hazrat Abdullah ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Raham karne walo per Allah bhi Raham karta hai,Aye Momino Zameen walo per Raham karo To Asman wala bhi tum per Raham karega,
Raham Rahman ki Ek Khaas Sifat hai,lehaza Jo Bandah Raham tham leta hai,to Allah bhi Usko Apna Bana leta hai,aur Jo Raham ko Chod deta hai,to Allah bhi uska Saath chod deta hai.
(Vol/2,H,No :2049),
Dars : Insaan ki Ek Umdah Khoobi yahi hai,ke wo Makhlooq per Raham kare kyu ke Jab Khaliq Allah ki hi Raham karna Sifat hai,to Bandah jab Rab se Mohabbat karta hai,to uski sifaat ko apnane ki koshish bhi kare,Jabke Khaliq aur Makhlooq ke Raham me Bohat Bada farq hota hai,
●● Aasman wala : Iska Matlab Hargiz ye Nahi ke Allah sirf Asman me hi rahta hai(Nawuzubillah min zalik) Balke Allah Har Jagah hota hai,
(Al Quran,Vol/1,Surah Baqarah),
Baaz log kahte hain,ke Allah Arsh per hai,to iska matlab Allah ki sifat hi Arsh per hai,warna Allah ki zaat ko mahdood karna lazim ayega,Jabke Allah ki Zaat Zaman aur Makan se Paak hai,
■■ Zameen walo per Raham : Ab isme Har Mazhab wale,Har qisam ke Parindeh,Janwar,Charindeh agaye hai,ke in per Raham karna Musalman ki Alamat hai,
Haan,Jo Noqsan pahonchane wale janwar aur parindeh wa charindeh jaise Saanp(snake),Bichoo(scorpoio) etc.. noqsan pahoncha rahe ho to unko Maarne ki bhi ijazat hai.
Allah hame Raham karne wale Bandeh bande..Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like