DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 411,Hadees No :2067,

 

Hazrat Abu Bakr Siddiq(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Kisi Momin ko Dhoka deta hai,ya uske sasth Makar wa Fareb karta hai,to Us per Har Waqt Lanat Barasti hai.
(Vol/2,Hadees No :2067),
Dars :Dhoka 2 Tarah ka hota hai,ek Baato se Doosra Kaam se Islam me ye 2 Qisam ka Dhoka Na Jayiz hai,
Deen e islam me kisi ko yani Na musalman ko dhoka dena hai,aur Na hi Kisi ghair Muslim ko Dhoka Nahi dena hai,
●● Aaj kal Baaz Log Doosro ko Dhoka dekar unka Maal aur unki Zameene cheen lene ko Hoshiyari samajhte hain,Lekin Kal Qiyamat me unke Chalak Samjhe jane wale Zahno wa Dimagh me Sheesh Pighlakar Daali jayegi to tab unki Hoshiyari ka Anjaam pata chalega..
Allahu Akbar Kabeera…
Jo Hoshiyari doosro ko faidah Na de to wo kisi kaam ki Nahi…
■■ Momin Bandeh ko Chahiye ke wo jis se Moamlah kar raha hai,uske Baare me pahle achi tarah malumaat hasil karle taake Baad me dhoka khakar Rota huva Na baithe kyu ke dhoka khana bhi islam me Nahi hai,
Allah hame Dhoka dene aur Dhoka khane se mahfooz kare..Ameen..
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like