DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 422,Hadees No :2084,

Hazrat Abu Zarr Ghifari(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Apne Bhai se Muskurate huve Mulaqat karna bhi Sadqah hai.
(Vol/2,Hadees No :2083),
Dars : Muskurate Huve Milne se Dil me Mohabbat wa Apna Pan paida hota hai,Jis se Apasi Moamalaat ko niptana Aasan hojata hai,aur Dil Keenah wa Boghz se Mahfooz hojata hai,
●● Aaj kal ke Mahol me Har Cheez Aasani se Mil Jati hai,kyu ke ye Technology ka daur hai,Lekin Ek Wahi cheez hai,Jo Bohat Kam milti hai,Jisko “MUSKURAHAT” kahte hai,
Ye Muskurat Saamne wale ki Khushiyo ya Sirf Dili Ta’alluq ki wajah se hoti hai,jisko Deen e islam ne Sadqah yani Neki ka Naam diya hai,
■■ Aaj Baaz Rishtedar aur Dost doosro ki Khushi per Muskurane ko bhi Sonchte hai,Ye Apasi Ranjisho ka Nateejah hai,Lehaza Agar Dushmani door hona hai,Boghz wa Keenah khatam hona hai,to Muskurana Shuru karde Sab Theek hojayega,insha Allah,
●● Muskurahat Zaheni Tanav
(Depression) ko bhi door kardeti hai,jis se Bandeh ko Itminan e Qalb Naseeb hota hai,jo ek Badi Nemat hai,
Allah hame Hamesha Muskurane wala banaye…Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like