DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 439,Hadees No :2106,

 

Hazrat Abdullah Ibne Abbas(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha, Ek Shaks ne Tezz Chalne Wali Hawa(Air) ko Bura Kaha to Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne Us se farmaya : Hawa(Air) per Lanat Mat Bhejo kyu ke Wo Allah ke Hukm per Mamoor hai,Yaad rakho ke : Yaqeenan Jo koi Kisi Ayse Shaks ya Cheez per Lanat bheje jo Uska Mustahaq hi Nahi to wo Lanat usi per Laut kar Aati hai.
(Vol/2,Hasees No :2106),
Dars : Hawa(Air),Pahad(Mountains) Paani(Water),etc…Qudrati Taqat war wa kamzor Saari Cheeze Allah ke Hukm ki Tameel me Mashghool hai,Ab jab koi Bandah Allah ke Hukm ki Tameel me Nahi hoga to usko Makhlooq ki Saari Cheezo me Ayb wa Khaamiya Nazar aati hain,to wo unper Lanat Bhejna Shuru kardega,lehaza In per lanat bhejne se Rukne ka Wahid Hal wa ilaj yahi hai,ke Bandah Apni Bandagi me Masroof hojaye to Ab Bandeh ko Makhlooq ki Saari Cheezo me Rab ki Khudayi hi Nazar aane lagegi..insha Allah jis se Eiman me Mazeed Taazgi Paida hojayegi..
●● Be Jaah Lanat…!! : Manager ki Assistent per,Saas ki bahu per,Nanand ki Bhabi per,Ek Padosi ki Doosre Padosi per,Ek Dost ki Uski Dost ke Dushman per Lanat,Etc…Moashreh me Kayi ayse Rishteh wa Rabteh hai,ke jisme Be jah Ek Doosre per Ya to Sirf Rishhteh ki khatir ya Dosti ki khatir Ek doosre ko Bura(Lanat) kahte hai,jabke Haqeeqat me wo us Lanat ka Mustahaq hi Nahi hota hai,lekin unko ye Pata Nahi hota hai,ke Wahi Lanat un per Laut ker aati hai,unke Gharo se Barkat aur Neend se Rahat ko Cheen kar chali Jati hai,aur Akhirat me Maghfirat ke Aad aakar khadi hojati hai…
Allahu Akbar Kabeera…
To hame chahiye ke Be Wajah doosro per Lanat bhejne wa Bura kahne se perhez kare to 2 Jahan me bhalayi ka sabab hoga..insha Allah.
Allah hame Lanat se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit oir islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like