DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 458,Hadees No :2135,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) se sawal kiya gaya ke wo kounsi cheez hai,jiski wajah se aksar log Jannat me dahkil hote hain ? To aap ne farmaya : TAQWA(Allah se Darna) aur ACHE AKHLAAQ hai,jiski wajah se Bandeh Jannat me ziyadah dakhil hote hain,
To phir sawal kiya gaya ke :Kis Cheez se ziyadah log Jahannam me Jaate hain ? To aapne farmaya : Mooh(Mouth) aur Sharamgah se log ziyaha jahannam me jate hain.
(Vol/2,Hadees No :2135),
Dars :Jo Bandeh Apne Mooh (Mouth) ko Buri Baato me laga de aur us se doosro ko takleef de phir us se Nek Baate aur Quran ki Tilawat,Allah ka Zikr,Durood wo Salam etc…Na padhe aur apni Sharamgah ko Na Jayiz Amal(Zina) etc..me istemal karde to ayse bandeh Jahannam me dakhil hote hai,inko chahiye ke apni zindagi me marte dum tak taubah karte rahe…
●● Muttaqi(Parhezgar Insaan) aur Ache Akhlaaq wale ki Dunya me Izzat hai,aur Akhirat me Jannat har Nemato se Malamaal hota hai.
Allah hame Taqwa aur Ache Akhlaaq Naseeb kare Mooh aur Satar ki hifaz ki taufeeq ata kare…Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like