DARSE JAMIUT TIRMIZI.CHAPTER : TIBB, DAY : 497,Hadees No :2192,

 

Hazrat Salma (raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Badan per Phoda(Woond) ya Phinsi hojaye to us Maqam per Mahendi laga lo.
(Vol/2,Hadees No :2192),
Dars : Mahendi 2 Tariqo se istemal ki jati hai,
1) Zeenat keliye 2) Ilaj(Treatment) keliye,
●● Khawateen(ladies) keliye mahendi Har 2 Soorat me Zeenat wa ilaj dono keliye istemal karne ki ijazat hai,
Lekin Mardo(Male) keliye sirf ilaj keliye hi Mahendi istemal karne ki ijazat hai,zeenat keliye ijazat Nahi hai,aur Na hi Nikah se ek din pahle Mahendi lagana hai,jo Aaj kal Rivaj Bana huva hai,
■■ Hadees me Jab agaya hai,ke Mahendi me phunsi wa Phodo se Shifa hai,to ab hame Baghir shak ke is Noskheh(Formula) per Amal karke Faidah hasil karlena hai.
Allah hame Deen ki Hikmat ko Samajhne ki Taufeeq ata kare…Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like