DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 512,Hadees No :2231,

 

Hazrat Abu Saeed Khudri (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha ,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Tum kisi Mareez se Mulaqat keliye Javo to Uski Umr(age) me Barkat keliye Dua karo,Kyu ke Uske Saath jo Hone wala hai,wo Hokar hi rahega,Lekin uski Dil ko Rahat Naseeb hogi.
(Vol/2,Hadees No :2231),
Dars : Jab Banadah Halat e Maraz me Maut ke Qareeb hota hai,aur wo takleef me rahta hai,to usko Sab se ziyadah Zaroorat Dil ke Chain wa Sukoon ki hoti hai,us waqt usko Chain wa Sukoon Na Paise desakte hain,aur Na hi Bade Ghar wa Gadiya Balke usko us Halat me Rahat dene wali koi cheez hoti hai,to Bus “APNO KI DUA” hi hoti hai,jo uske Dil Be Sukoon se Ba Sukoon(Rahat wala) bana deti hai,to phir use Na Maraz ka dar hota hai,aur Na hi Maut ka dar…Sab kuch khatam hojata hai…
Lehaza Ye Deen e islam ki Khoobiyo me hai,ke Mareez ki iyadat kare aur usko Raazi karle kyu ke Jab Mareez dua karta hai,to Allah uski dua ko qubool karleta hai,aur jis Shaks se Mareez Raazi hota hai,to Allah bhi us se Raazi hojata hai,
■■ Baaz Log Dushman Jab Beemar hojata hai,to Khush hote hai,aur us se door rahte hai,Na Mulaqat Na Baat… jo ke islami taleemat ke khilaf hai,Deen e islam to Dushman ki bhi BeemarPursi karne ki taleem deta hai,yahi wajah hai,ke Aaj Saare Aalam ke Hisso me Islam ka Bol Bala hai,insha Allah Qiyamat tak jaari wa Saari rahega……
Allah hame islami Taleemat per Amal karne ki taufeeq ata farma…Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com

You might also like