DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TAQDEER, DAY : 515,Hadees No :2281,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha ,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Hazrat Adam wa Hazrat Moosa(Alihimassalam) ke Aapas me Baat huvi to Hazrat Moosa Alihissalam ne Hazrat Adam Alihissalam se kaha ke Aapne hi Jannat me Darakht ka Phal khakar sabko Jannat se Nikale ho..!!?
To Hazrat Adam Alihissalam ne kaha :Moosa Tum wo Rasool ho jisko Allah ne Apne se Kalam karne keliye Chun liya hai,to Tum Mujhe kise Malamat karsakte ho !! Maine to Wahi Kaam kiya hai,Jo Allah ne Meri Taqdeer me Saari Makhlooq Paida karne se Pahle hi likh diya hai,to Hazrat Moosa Alihissalam Khamoosh hogaye aur Hazrat Adam Alihissalam Hujjat dene me kamiyab hogaye.
(Vol/2,Hadees No :2281),
Dars :Is Hadees e Paak se yahi dars milta hai,ke Jo Baat ya Kaam hojaye to uska zimmahdar kisi isaan ko Qarar dekar Moamlaat me ulajh jane se Behter yahi hai,ke us kaam ko Taqdeer per chod de to insha Allah Moamlaat Sudhar jayenge warna Shikwah Shikayat ka Mahol paida hojayega jis se Tabiyat me Na Shukri paida hogi,
●● Yaad Rahe ke Deen e islam me Nek Kaam karne wa Karwane aur Bure Kaam se Rukne wa Rookne ka Hukm diya gaya hai,to Ab Bandeh ka Taqdeer per Kamil Yaqeen ki Alamat hi ye hai,ke Bandah Nek Kaam kare aur Bure Kaam se ruke,Na ke Bura kaam karke Taqdeer ke Hawala karde…!!!
Allah hame taqdeer per Kamil Yaqeen rakhne wala Banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like