DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TAQDEER, DAY : 520,Hadees No :2297,

 

Hazrat Matar Bin Ukamis (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Allah kisi Shaks ki maut koi Maqam pe Muqarrar kare to Usko Waha Jane ki Zaroorat paida karta hai,Phir wo Waha Chala jata hai.
(Vol/2,Hadees No :2297),
Dars : Allah ne Har Makhlooq ki Zindagi wa Maut Taqeer me muqarrar kardiya hai,yaha tak ke wo Kaha aur Kab Paida hone wala aur Kab wa kaha Marne wala hai,sab kuch taqdeer me likha ja chuka hai,lehaza jo jab aur Jaha Marne wala hai,wahi Marega…
●● Taqdeer to hame ye uper Wali Baate Batati hai,lekin Baaz log…..!!!
Jab Kisi Ladke ki kisi Ladki se Sagayi(Rasam,Engagement) hojaye phir kuch Din Baad ladke ke ghar me ya Kisi Rishtehdar ka inteqal hojaye to kahne lag jate hain,ke : LADKI KA QADAM SAHI NAHI HAI,KYU KE SAGAYI KE BAAD HI FULAN SHAKS KA INTEQAL HUVA HAI..!!
Aur Baaz log Baaz Baate karte hai,jo ke islami Wa Eimani Aqeedeh ke Bilkul Khilaf hai,Ab kisi ki Maut me Us Ladki ka kiya Dakhal hai ????
Zindagi wa Maut dene wala Allah hai,koi Bandah Nahi…
■■ Jab kisi ka Achanak kisi Maqam ya Accidental inteqal hojaye to log kahne lagte hain,ke Waha Na jata to Shayad Bach Jata etc….lekin Aysi Maut ya Taqdeeri Hadseh Bandeh ko Hamesha Tayyar rahne aur Akhirat ki Tayyari karne dars dete hai.
Allah hame Taqdeeri Har Faisleh per Raazi rahme wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like