DARSE JAMIUT TIRMIZI،CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 590,Hadees No :2420,

 

Hazrat Huzaifah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Kisi Momin keliye Ye Munasib Nahi hai,ke Wo Apne Aapko Zaleel karle,to kisi ne Sawal kiya Koi Apne aapko Kaise Zaleel karega ? To farmaya : Apne aapko un Museebato(Kaam) me pesh karna jiski wo Taqat Nahi rakhta ho.
(Vol/2,Hadees No :2420),
Dars : Hadees e paak me Saare Insaano keliye dars hai,ke Jo Shaks Jis Kaam ki Taqat rakh sakta hai,wo wahi kaam kare,to kaam ka Haq bhi ada hoga aur Kaam kamiyab bhi hoga,Warna Har kou Baghair Takhassus(Specilaisation) ko follow huve baghair kaam kiye to Khusooisiyat bhi baaqi nahi rahegi aur Na hi kamiyabi..!!
●● Nawjawano ko Chahiye ke Wo Apni Future ke bare me Caurses ke intekhab me khud faislah kare ke jis ke wo layiq ho aur jis subject ko Acha wa Aasani aur shauq se padh sakte ho wahi chune to saari zindagi Izzat se guzarenge,
●● Siasat Daan(Politians) ko Chahiye ke Wo Apni Taraqqi wa Public ke khidmaat wa Kaam ki Baate hi kare wo Mazhab ki Baate karke Khud ko Safe aur Public ko Pareshan na kare aysa karne se Khud bhi Na kaam aur kiye jaane wale kaam bhi Adhure hi rah jayenge,
■■ Khulasah yahi ke jo Jis Field ke ho wo usme hi ziyadah tawajjuh de to Kaam aur khud bhi kamiyab honge warna Zillat ke siwa kuch milne wala Nahi hai.
Allah hame Apne layiq hi kaam karne ki taufeeq naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like