DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 622,Hadees No :2478,

 

Hazrat Usman Bin Affan (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qabr Akhirat ke Manzilo me se Sab se Pahli Manzil hai,Jo Usme Kamiyab Huva to Baaqi ki Saari Manzile Aasan hongi,aur Jo Usme Na Kaam huva to Baaqi ki Saari Manzile Mushkil hojayengi,Phir Farmaya : Qabr se ziyadah koi Manzil DardNaak wa Haibat Wali Nahi hogi.
(Vol/2,Hadees No :2478),
Dars : Insaan jab Marta hai,to uski Sabse Pahli mazil Qabr hoti hai,aur usi me Us se 3 Sawal bhi pooche jayenge,to Agar wo Nek Bakht hoga to Sahi Jawab bhi dega aur uske Usne Aamal uski Qabr ko Allah ke Fazl se Jannat ka ek Baagh Bana denge aur usko Aaram se Sone keliye Kaha jayega,aur wo Qiyamat tak usi tarah Aaram me rahega aur Baaqi ki Manzile bhi uske liye Aasan hojayengi aur wo Abadi Jannat ka Makeen hojayega…
■》 Jo Bure Aamal me mulawwas hoga,Jhoot,Dhoka,Fareb,Qabzah,Qatl etc..me zindagi guzarega to Qabr me Na wo Sahi Jawab de sakega balke Qabr se hi uske liye Azab shuru hojayega,Aur wo Ghar,Ghar walo ko Chod kar Tanha Azab me mubtala hoga jabke wo Sab Bure Aamal Ghar walo ki khatir hi kiya tha lekin Azab koi Shamil nahi hoga,aur aakhirat ke saari Manzile uske liye badi mushkil hojayengi aur wo abadi jahannam ka haqdar hoga,Saanp,Bicchoo etc..qiyamat tak usko kaat te rahenge..!!!
Qabr me Rahat keliye Chahiye ke Dunya me Nek Aamal per Sabr kare to insha Allah Baab me Rahat Hi Rahat hogi.
Allah hame qabr ke azab se mahfooz farma..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like