DARSE JAMIUT TIRMIZI.CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 638,Hadees No :2498,

 

Hazrat Abdullah Bin Masood (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jaidad(Property) ziyadah Jama Mat karo warna Dunya me Dil Chaspi Ziyadah Badhegi.
(Vol/2,Hadees No :2498),
Dars : Rahne aur Jeene keliye Ek Ghar kaafi hojata hai,to phir us se ziyadah Jaidad Aur wo zaroorat se ziyadah ho to Ab us se dunya me Hirs aur Raghbath badh jati hai,to uska Dil Deen se Hat kar Dunya me lagna shuru hota hai,aur ye dunya dari Har jagah Ajane lagti hai,phir usko Maghroor bana deti hai,aur isi ghuroor ke sabab wo Rishtedaro se bhi door hojata hai,aur uske Dost bhi us se kinarah kashi ikhtiyar karlete hai,bus uska Sahara Wo property hi rah jati hai,Phir Marne ke Qareeb Uske zahen me Koi Nek Aamal nahi rahte hai,kyu ke wo us Property ke saving karne me hi zindagi guzar deta hai,Na koi Husne Amal aur Na koi Neki karta hai,to Marne se bohat darta hai,kyu ke wo apni Azeez property ko chod kar jane lagta hai,aur wo jaidad uska kuch saath nahi deti….aur usko chod deti hai….wo tanha Apna Akhirat ka Safar tay karta hai,
■■ Haan,Agar Allah ne Dawlat di ho to Apni Awlaad ko Be Sahara Nahi chodna hai,to unki jitni zaroorat ho utna kuch rakh kar jaye to Kaafi hai,agar wo bhi Nq hosake to koi Haraj Nahi awlaad khudh mehnat wa Mashaqqat se apni Rahne aur Khane ka intezam karle kyu ke Walidain ka Paal pos kar Badha karna hi Bohat Bada Ehsaan hai,to unke Koi Jaidad Jama Na karne per Unse Shikwah wa Shikayat Karna Bohat Bada Gunah hai.
Allah hame Deen ki khidmat aur Madad me lage rahne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like