DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 642,Hadees No :2502,

 

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Qareeb Zamanah(Waqt) Sukad jayega,Saal(Year) Ek Mahineh(Month) ki tarah,Ek Mahinah Ek Haftah(Week) ki tarah aur Ek Haftah Ek Din(Day) ki tarah aur Ek Din Ek Ghanta(Hour) ki tarah aur Ek Ghanta Aag ki Ek ghingari ki tarah hoga.
(Vol/2,Hadees No :2502),
Dars : Jab Waqt itna Sukad jayega to Qiyamat ki Nashaniyo me se hai,lehaza Bandah e Muslim ko Chahiye Ke Apne Waqt ko ghaneemat jane Deeni aur dunyavi etebar se kamiyabi ki tarkeeb bana le to insha Allah Shukr,Sabr etc jaisi sifat khud ba khud paida hojayengi warna Dhoka dena, Fareb aur Shikayat ke Alawah kuch Baaqi Nahi hoga..!!
Allah hame Waqt ko ghaneemat jaan ne wala banaye..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like