DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 647,Hadees No :2509,*

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Budhe Shak Ka Dil 2 Cheezo ke Bare me Kabhi Jawan hi rahta hai,
1) Lambi Umer
2) Ziyadah Maal.
(Vol/2,Hadees No :2509),
Dars : Ye 2 Cheezo ke Bare me Budhe Shaks ka Dil Hamesha jawan usi waqt rahta hai,jabke Usko Jawani me Qina’at,Shukr Guzari,Be Niyazi etc..jaisi Sifat se wo araastah Na huva ho aur Bachpan me bhi wo Dunya ke Mahol me hi pala badha ho aur Dunya ki Har Cheez per Naaz ke saath tarbiyat ki gayi ho,to wo Marne se pahle aur Budhape me bhi jabke Uske Jism me kuch taqat hi na ho lekin uske dil me Lambi umr aur Ziyadah Maal Hasil karne ki Hirs Baaqi hi rahti hai..!!
Haan,Jinki Tarbiyat aur Jawani ke Khushgawar lamhaat Deeni Taleemat aur Akhirat ke Manazir aur Tayyari ke tareeqo me guzri ho to wo Lambi umr aur Ziyadah Maal ki koi fikr nahi karta hai,balke wo is dunya ko haqeer samajhta hai,kisi cheez me usko Hirs aur Tama baaqi Nahi rahti hai.
Allah hame Dunya ke Hirs wa tama se mahfooz kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more islamic services click here
www.anwaarulislam,com.

You might also like