DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 659,Hadees No :2522,*

 

Hazrat Fazalah Bin Ubaid (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Khush Khabri hai,us Shaks keliye Jisko Islam ki Hidayat mili ho aur wo Apni Zindagi me Har Cheez ko Kaafi samajhta ho aur Qina’at ki zindagi guzarta ho.
(Vol/2,Hadees No :2522),
Dars : Deen e islam Ek Usooli Wa Fitrat ke Muwafaq Aafaqi Mazhab hai,iske Har Qanoon me Hikmat wa Firasat bhari huvi hai,is Mazhab ka jo bhi Saaf Dil se Muta’ala karega to Wo us se Mutaatssir hokar hi rahega kyu ke uski bunyad Haq per hai,isme Har ek keliye insaaf hai,kisi ko bhi kisi doosre per Badayi wa fauqiyat Nahi hai,isme Sab Barabar hai,isiliye Saare Alam me iska Bol Bala hai,
Lekin Ye Baat bhi Wazeh rahe ke Islam ka har Pahlu piyara hai,to Musalman bhi usi waqt Mazboot wa Mahboob hoga jabke wo Islami taleemat per Sahi tareeqeh se Amal kare Warna Musalmano se hi islam ko Noqsan pahonchega..!!
■■ Jis Bandeh me Qina’at ki sifat paida hojayegi to Kabhi Dunya ki Cheezo ke bare me pareshan Nahi rahega jaisa ke Aaj kal dekhne me aaraha hai,Har koi Kisi Na kisi Dunyavi Cheez ya kaam ke takmeel karne ya hasil karne me mashghool hai,Haq wa Batil ka farq bhool gaye hai…!! Kyu ke Qinaat Shukr ki taleem deti hai,aur usme Baghair Hirs ki Adat badhti jati hai,lehaza usko thaam le to Sab Aasan warna Sab Mushkil hoga.
Allah hame Qaaane Ban kar zindagi guzarne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like