DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 672,Hadees No :2542,*

Hazrat Fazalah Bin Ubaid (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Jab Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Logo ki Namaz me Imamat farmate to Baaz Log Apni Tangdasti aur Ghurbat ki wajah se Doosre Logo se Hat kar peeche Namaz ada karne lage aur Wo Ashab e Suffah the, to Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne ye dekh kar farmaye : Agar Tum jaante hote ke Allah ke Paas Tumhara kitna Bada Maqam hai,to tum Apni Ghurbat wa tangdasti ko aur bhi ziyadah hone ki tamannah karte.
(Vol/2,Hadees No :2542),
Dars : Ye Ashab e Duffah wahi Ashab hai,jo apni Zindagi Deeni taleem hasil karne me laga diye hai,aur wo bade khush Naseeb log hai,ke khud Nabi e Kareem sallallahualihiwasallam unko taleem diya karte aur unko apni har khushi me shamil karte,Aaj bhi wo Suffah(Chabutra) Hujrah e Rasool sallallahualihiwasallam ke Qareeb hi hai,Babe Jibraeel se dakhil ho to Aasani se Nazar aajayega,yaha per 2 Rakaat Nafil padhna Saadatmandi hai,
■■ Is me ye bhi dars hai,ke Ameer ho ke ghareeb Maal daar ho ke Na Daar har koi Allah ke Ghar me ibadat ke waqt Barabar hi hai,aur jo pahle Masjid me dakhil ho wahi pahli Saff ka Mustahaq hai,ek ko doosre per koi Fauqiyat Nahi hai,Kyu ke Allah Bando ke Soorato aur Jismo ko Nahi balke unke Dilo ko dekhta hai,
●● Allah ki di huvi Ghurbat ho ke Maaldari sab Waqti aur Aarzi hote hai,lekin us per Raazi rahe to wahi Shukr ki sifat Dayimi Naama e Aamal me “NEKI” hi likhi jayegi,jis se Wo Bandah Shakireem me shaml hoga aur qiyamat me unhi ke saath uthaya jayega.
Allah hame Shukr wa Sabr ki nemat ata farma..Ameen ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like