DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 677,Hadees No :2552,

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Har Shaks Apne Saathi(Friend) ke Deen ka Asar leta hai,lehaza Jab bhi kisi ko apna Saathi Banaye to Pahle Uske Deen ko dekho.
(Vol/2,Hadees No :2552),
Dars : Insaan ki fitrat hi Bhai charah,Mawaddat,Mohabbat aur Shafaqqat etc..se arastah hai,uske Baghair insaan hi Na mukammal hota hai,lehaza usko Apni zindagi me kisi na kisi saathi ki zaroor zaroorat pad jati hai,isi liye insaan ko Nikah ka hukm diya gaya hai,taake wo apni Adhoori Zindagi ko mukammal karle aur apne Shareek e Hayat ke saath Dostana wa Khush Haal zindagi guzare,
■■ Jab bhi kisi ko dost banaye to Sab se pahle us shaks ke deen ko dekhe agar wo Musalman hai,ya Nahi ? Agar Musalman ho to phir uske Akhlaaq ko dekhe agar wo Husn e Akhlaaq wala ho to us se dosti ka Haath aage badhaye warna Nahi,kyu ke Deen ki bunyad hi Akhlaaq hai,uske Baghir Deen ka bandeh per koi asar Nahi hoga..!!
☆☆ Ladka Ladke se aur Ladki sirf Ladki se hi Dosti karni hai,uske Alawah Dostiya shuru kare jaisa ke aaj ke mahol me social media per Ladki aur ladke ki dosti ko support kiya ja raha hai,ye Bilkul Ghalat hai,aur Deen e islam iske Sakht khilaf hai,
Haan,Agar Mard wa Aurat dosti hi karni hai,Miya Bivi(Husband and Wife) apas me dosti karle ye Dono Khandan aur Sab keliye faidah hoga warna Sab keliye Noqsan ka sabab aur Moashreh per Bohat Bura Asar padega..!!
■■ Ghair Muslimo se Tijarati ta’alluqat aur doosre zaroori kaamo ke alwah unse dosti Nahi karni hai,
Haan,unse Husne Akhlaaq se pesh aana aur zaroorat pe unki Madad karna aur unse Achi Baat karna etc..in sab ki ijazat hai,magar unse dosti ki ijazat nahi hai,
Muslim Ladkiyo ko to unse kisi bhi tarah ke Rabteh ki ijazat Nahi hai,warna uska Anjaam bura hi hai,jo aye din sab dekh rahe hai.
Allah hame Nek Saathiyo ki Sohbat Naseeb farma..Ameen
Ya Rabbi.
plz..share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like