DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 706,Hadees No :2592,

Hazrat Sufyan Bin Abdullah Saqafi (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine Sawal kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Koi Aysi Baat Bataye ke Jisko Mai Thaam lu ? To Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum Kaho ke “MERA RABB ALLAH HAI” Aur Seedhe Raasteh per Qayim Raho,
Phir Maine Sawal kiya: Wo Kounsi Cheez hai,ke jo Mujhe ziyadah uski Ehtiyat karoon ? to aane Apni Zuban pakad kar isharah kiya ke iske Baare me ziyadah ehtiyat se Rahoon.
(Vol/2,Hadees No :2592),
Dars : Bandah jab tak apne Rabb ka Yaqeen Dil me rakhega to wo Har Gunah se mahfooz rahega kyu ke use Ye Malum rahta hai,ke Mera Rabb Allah hai,aur wo meri Har Baat se waqif rahta hai,to is se khudko aur Doosro ko bhi faidah hota hai,
■■ Baaz log Zuban ke bade Charb hote hain,aur Baaz log Zuban ke Bade Narm to in dono jo Zuban ka Narm hota hai,wo har Maidan me Kamiyab hota hai,aur Charb Zuban wala Har maidan me Na Kaam kyu ke Log uske Andaaz ko Na Pasand karte hai,isliye use Na Kamiyabi ka Chahrah dekhna padta hai,to Zuban ki Narmi Bandeh ke Har Kaam me Asar karti hai.
Allah Hame Narm Zuban Wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like