DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KI SIFAAT, DAY : 712,Hadees No :2603,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum me Muflis Koun hai ?
To Sahaba e kiram(raziyallahuamhumajmayeen) ne jawab diya : Jiske Paas Maal aur Saman Na ho to Wo Muflis hai,to aapne farmaya : Ye Nahi,Balke Haqeeqi Muflis to wo hai,Jo Qiyamat me Apne Namazo,Rozo,aur Zakat lekar aye phir uske Saath ye bhi ho ke wo Kisi Ko Gali diya ho,Kisi per Jhooti Tohmat(ilzam) lagaya ho,Kisi ka Maal khaya ho,kisi ka Khoon Baha ya ho,aur kisi ko Na Haq ke Maara ho,to phir Jab Insaaf kiya jayega to uski Saari Nekiya Badleh ke Taur per doosre Mazloon shaks(jisko wo maara ya gali diya ho etc..) ko dedi jayengi,phir Jab nekiya khatam hojayengi to Ab Mazloom shaks ke Gunah iske Naama e Aamal me daal di jayengi,phir Jab wo Nekiyo se Khaali hoga sirf Gunah hi rahenge to Usko Jahannam me Phenk diya jayega.
(Vol/2,Hadees No :2603),
Dars : *Dunya me kayi ayse log hai,jinhe apni ibadat pe ziyadah Bharosha hota hai,jabke bandeh ko ibadar karne ke Baad uske Qubool hone ki fikr wa umeed ke Lautaye jane ka Khauff bhi hona chahiye jis se Bandah Umeed ke saath mazeed ibadat me laga rahega aur usme maghroori ki sifat khatam hogi aur Apne Majboor hone ki Haqeeqat zoyadah yaad rahegi,*
*Ibadat ke Baad sab se Ahem cheez Allah ke Rahmat se umeed rakhna hai,aur uske Karam ko maangna hai,jis se Bandeh ka Amal qubool hoga,*
●● *Bandeh ke ibadat guzar hona kaafi Nahi hai,Balke ibadat ke Saath Ache Akhlaaq wala hona us se bhi Afzal hai.*
Allah hame Ibadat ke saath Ache Akhlaaq wala banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like