DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 759,Hadees No :2666,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hum Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ke saath the,ke Ek Shaks ne Dakar (Khana ziyadah hojaye ya Bad Hazmi hone se jo Mooh se awaaz nikati hai) li to Aap sallallahualihiwasallam ne farmaya : Tum apni Dakar ko Rok lo kyu ke Dunya me Ziyadah Khane wale Akhirat me Ziyadah Bhooke rahte hai.
(Vol/2,Hadees No :2666),
Dars : Insaan ke jism ke Har Hisseh ka Ek Haq hota hai,aur us Haq ki bhi Miqdar muqarrar hai,lekin jab wo Haq ya Zaroorat Had se Badh jati hai,to Waha Beemariya ya Buri Aadate Janam leti hai,jis se Bandah Apna Meyar Badani,jismani aur Zahni taur per khodeta hai,phir use Halal aur Haram ki tameez Baaqi Nahi rahti hai,lehaza Pet ko jitna Qaabu me rakhenge to Dunya me jab tak rahenge to Bandeh ka Nizam Sahi Chalta rahega,
■■ Haan,jin logo ka Hazimah ka nizam Behter Na ho aur bad Hazmi ki wajah se unhe Dakar aate ho to unko Maafi hai,aur ye Majboori bhi hai,kyu ke ayse logo ka ilaj hi dakar hojate hai,Allah unhe sehat se nawaze..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like