DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 767,Hadees No :2677,*

Hazrat Aswad Bin Yazeed (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) se sawal kiya ke Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) jab ghar me dakhil hote to kounsa Kaam kiya karte to ap farmayi ke : Aap sallallahualihiwasallam Ghar walo ke Kaamo me Saath dene me masroof rahte aur Jab Namaz ka waqt hota to ap khade hote aur Fauran Namaz padhne chale jate.
(Vol/2,Hadees No : 2677),
Dars : Ghar walo ke kaamo me Saath dena aur unke Saath kaam karna koi Aib Nahi hai,balke ye to Hamare Nabi e Kareem sallallahualihiwasallam ke Sunnat hai,
Kyu ke Baaz log gharelu kaam karne ya ghar me khawateen ke kaamo me Haath batane ko Alag Nigah se dekhte hain,jo Sahi Nahi hai,
●● Doosri Ahem Baat ke Ghar me koi bhi kaam ho,Koi Taqreeb(function) ho ya koi Beemar etc..ho to un sabko Chod kar pahle Namaz me shareek hona hai,jab Namaz me shirkat hogi to Saare Kaamo me Barkat bhi hogi,
Allah hame Amal ki taufeeq ata kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like