DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 781,Hadees No :2690,*

Hazrat Ayisha Siddiqah
(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Wo Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) ke saamne ki Shaks ke baare me kuch Bataya to apne farmaya : Mujhe ye Pasand Nahi hai,ke kisi ke Baare me kuch Bayan kiya jaye.
(Vol/2,Hadees No :2690),
Dars : Insaan me kayi Sifaat hoti hai,Baaz Fitrati(Naturally) aur Baaz khud se Paida ki huvi sifaat aur unme Achi Sifaat bhi hosakti hain,aur Buri Sifaat bhi,lekin Deen e islam ne Bandeh ki Har qisam ke Achi Sifaat ko Bayan karne ki ijzat di hai,taake uski Himmat afzayi hosake aur Banndeh ke Har qisam ki Buri aur uske Shaan me kami karne wali Har qisam ki Baat ya Sifat ko doosro ke saamne Bayan karne se Mana kiya gaya hai,
Hadees me Taleem e ummat keliye Her qisam ki Mamooli Baat se bhi roka gaya hai,jabke usko Bayan kiya jasakta bhi tha lekin us se bhi roka gaya hai,taake wo Aage koi doosri Baat ki taraf na lejaye.
Allah hame Har qisam ki us Amal se mahfooz kare Jo Allah ko Na Raaz karne wala ho..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like