DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,*
DAY : 854,Hadees No :2794,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu)
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jahannam ki Aag ko 1000 Saal Jalaya gaya yaha tak ke wo Laal(Red) hogayi,phir usko 1000 saal jalaya gaya,to Safaid(white) hogayi,phir usko 1000 saal jalaya gaya to Kaali(Black) hogayi,ab wo Bohat Sakht Kaali shakal me hai.
(Vol/2,Hadees No:2794),
Dars: Kisi bhi Cheez me jitna Jalaya ya Pakaya kata hai,to wo Cheez utni hi ziyadah Sakht hojati hai,air Uski Fitrat me Tezi paida hojati hai,to Jahannam me ki Aag ko itne Saal wa itna ziyadah Jalana wazeh hai,ke Jahannamiyo ko uski Saza di jaye to is se Maloom huva ke Jahannam me aur uske Azab me kisi qisam ki Narmi Nahi hosakti hai,kyu ke waha Us tarah Azab dena hi Insaaf hota hai,lehaza Us se Bachne keliye Jitni tayyari karna hai,wo Bus Dunya me hi karsakte hai,to Neki karne me Rabb fazal bhi itna hota hai,me 1 Neki ke Badleh 10 Nekiya ata karta hai,
●● Filhaal Dunya ke Logo ke Halaat wa Aadat ko Na dekhe Bus Apne aapko sudharne aur Neki Kaamo me laga de,kyu ke Dunya me Baaz Log Na khud Acha Kaam karte hain,aur Na hi Doosro ko Karne dete hai,inko Chode Nekiyo ko Pakde.
Allah hame Nek Aamal ki taufeeq ata kare Ameen.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website.
www.anwaarulislam,com.

You might also like