*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** Chapter :SALAH, Day :56,

 

Hazrat Umer Bin Khattab(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(Sallallahualihwasallam) Ne Fajar ki Namaz Padne ke Baad Sooraj Nikalne tak,aur Asar ki Namaz Padhne ke Baad Sooraj Doobne Tak Namaz padhne Se Mana Farmaya.
(Vol/1,H,No :183)

Dars :Jab Fajar ki Namaz hojaye aur Sunnat choot jaye to Baaz log Fajar ki Namaz ke Baad Sunnat padhte hai,aysa karna Sahi Nahi hai,Kyu ke Fajar ki 2 Saunnate Fajar ki Namaz se pahle hai,Baad me Nahi,aur fajar ke baad sunnat padhna khud ye Sunnat ke khilaf hai,
Haa,jab sooraj tulu hojaye to phir koi bhi namaz ho padh sakte hai,Fajar ki Sunnat nahi kyu ke Sunnat ki Qaza nahi hai.
Asar ki Namaz jab hojaye to phir Koi Doosri Namaz padhne ka Hukm Nahi hai,maghrib tak jab maghrib hojaye to phir doosri namaz padh sakte hai,
Namaz e janazah ke bare me kaha gaa hai,Asar ki Namaz ke baad ajaye to padh sakte hai,kyu ke Wo Hukm me Dua ke hai.

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like